SAHI ISLAM KESE SAMJHEIN
ASSALAMUALAIKUM WA REHMATULLAHI WA BARAKATU! *Har qism ki ta’reef, hamd-o-sana, badae-o-buzrugi ALLAH (wah dahu lashareek) ke liye layaq aur zeba hai jo RAB hai sare A’alameen ka, jo parvardigaar hai, jo paalanhaar hai... aur be-shumaar, la mehdood, un-ginath darood-o-salaam ki barish ho pyare nabi-e-rehmath, shaafi-e-mehshar, saaqi-e-kauser, imaam-e-aazam, imaam-ul-ambiya, khaatam-un-nabiyyeen,sayyid-ul-mursaleen, Nabi-e-kareem, rasool-e-ameen, janaab-e-Muhammed Rasool-Allah(sallallahu alaihi wa sallam) ki zaat-e-aqdas par ke jinki itteba aur pairvi may hamari najaat aur kaamiyaabi rakhi gae... Allah(rab-ul-izzath) ne may bayaan kiya hai ke "Allah ki rassi (yane quran aur ahadees) ko sab mil kar mazbooti se thaamlo aur phoot na dalo (yane firqon may na bato) [surah aale imran: ayath no. 103] * LEKIN! aaj hum ek nahi, hamare MANHAJ alag alag, hamare AQEEDEY alag alag, hamari NAMAZIEN alag alag, hamare ROZEY alag alag, al-gharz hamari har I'BADATIEN alag alag, ...