SAHI ISLAM KESE SAMJHEIN

 ASSALAMUALAIKUM WA REHMATULLAHI WA BARAKATU!

*Har qism ki ta’reef, hamd-o-sana, badae-o-buzrugi ALLAH (wah dahu lashareek) ke liye layaq aur zeba hai jo RAB hai sare A’alameen ka, jo parvardigaar hai, jo paalanhaar hai... aur be-shumaar, la mehdood, un-ginath darood-o-salaam ki barish ho pyare nabi-e-rehmath, shaafi-e-mehshar, saaqi-e-kauser, imaam-e-aazam, imaam-ul-ambiya, khaatam-un-nabiyyeen,sayyid-ul-mursaleen, Nabi-e-kareem, rasool-e-ameen, janaab-e-Muhammed Rasool-Allah(sallallahu alaihi wa sallam) ki zaat-e-aqdas par ke jinki itteba aur pairvi may hamari najaat aur kaamiyaabi rakhi gae...

Allah(rab-ul-izzath) ne may bayaan kiya hai ke "Allah ki rassi (yane quran aur ahadees) ko sab mil kar mazbooti se thaamlo aur phoot na dalo (yane firqon may na bato) [surah aale imran: ayath no. 103]

* LEKIN! aaj hum ek nahi, hamare MANHAJ alag alag, hamare AQEEDEY alag alag, hamari NAMAZIEN alag alag, hamare ROZEY alag alag, al-gharz hamari har I'BADATIEN alag alag, Ab usme hume sahi ko samajhna hai, Yaad rakho kaheen aisa na ho ke jis raaste ko hum sahi islami raasta samajh rahein hon aur Akhirat me pata chale ke hum ne galat raasta chun liya thaa phir Azaabe Jahannum ke ilawa kuchh hasil na hoga……….

*SAHI ISLAM KO KAISE SAMJHIEN??? *
> JAISA KE ALLAH (swt) NE FARMAYA:
"...aaj main ne tumhaare liye deen ko kaamil (compelete) kar diya aur tum par apna In’aam bharpoor kar diya aur tumhaare liye Islam ke deen hone par raza mandh ho gaya..."... [surah al-mai'dah: ayath no. 3]

Ye ayath nabi(saws) aur sahaba(rz) hi ke daor may toh nazil hue thi aur ye takhreeban sabhi jaante hain ke is ayath ka nuzool hajjatul wida ke maokhe par hua tha aur ALLAH ke nabi(saws) ne hajjatul wida ke apne us khutbe may wahan maujood sabhi sahaba(rz) se kuch is-hi tarah pucha ke:
"...tumse mere bare may bhi pucha jaega, batao! tum mere bare may kya kahoge?":
Tab wahan maojood saare sahaba(rz) ne ba ek waqt, ba awaaz-e-bulannd kaha ke:
"ham gawahi dete hain ke aap ne hamtak Allah ka deen puri tarah se pahuncha diya hai"... phir rasool Allah(s.a.w) ne farmaya: "aye Allah tu gawah rehna, aye Allah tu gawah rehna, aye Allah tu gawah rehna"... [khutba e hajjatul wida zaroor padien]...
Aur isi tarah ek aur ayath may Allah(swt) ne farmaya:
"aye rasool (s.a.w) jo kuch bhi aap ki taraf aap ke rab ki jaanib se naazil kiya gaya hai (yane Qur'an aur Ahadees), Usey (doosron tak) pahuncha di jiye, agar aap ne aisa na kiya to aap ne Allah ki risaalath ka haq ada nahi Kiya..." [surah al-mai'dah: ayath no. 67]...
Aur hamara ye emaan hai ke hamare Aqa(s.a.w) ne apni risaalath (prophet hood) ka haq baqubi aur puri puri tarah se ada kiya hai aur is tarah ada kiya hai ke jiski misaal na pehle kabhi thi na ab hai aur na taa-qayamat ho sakti hai aur hamara ye bhi emaan hai ke Allah(swt) aur rasool Allah(saws) ne hamien har wo cheez, har wo amal, har wo ibadath batladiya hai jo hamey jannat may leja sakta hai aur jahannum se bacha sakta hai, is-hi tarah har wo cheez, har wo amal, har wo ibadath batladiya hai jo hamey jannat se door karsakta hai aur jahannum may dalwa sakta hai... mukhtasar ye ke hamari najaat aur kaamiyaabi ka har zariya aur har tareekha qur'an aur sahih ahadees may maojood hai... jiski daleel(proof) ye hadees-e-shareef bhi hai jismay Rasool Allah(saws) ne farmaya:
"jannat se khareeb karne wali aur jahannam se door karne wali har cheez khule taor par batla digae hai"... [ye hadees shareef al-mu'jam al-kabeer lit-tibrani may ba-riwayath abuzar(rz), ba-sanad sahih maojood hai]...

 "isse hatkar koi aur doosri ya teesri cheez deen hargij nahi hosakti bhale wo ba-zahir (dikhne may) kitni bhi achchi (nek) maloom kyun na hoti ho"... aur agar koi shaqs aisa koi bhi naya amal ya I'badath deen samajh kar sawaab ki niyath se kare ya koi bhi amal/ibadath/sunnat iiska masnoon tareekha batladiyagaya ho usmey koi tabdeeli (kami ya zyadati) kare iiska deen ( qur'an aur sahih ahadees) may koi saboot (daleel) nahi milta ho toh wo shaqs bid'ath karraha hai aur nabi-e-kareem(s.a.w) ne bid'ath aur bid'ati ke bare may daraya hai aur farmaya ke:
"jise Allah hidayath de usey koi gumrah karne wala nahi aur jise Allah gumrah kare usey koi hidayath dene wala nahi, yaqeen rakho ke sab se sachchi baat Allah ki kitaab (yane qur'an) hai aur sab se behtar tareekha muhammed (s.a.w) ka tareekha (yane sunnath) hai, aur sab se bura amal (deen may) nae cheez ejaad karna hai, har nae cheez bid'ath hai, har bid'ath gumrahi hai aur har gumrahi jahannam may lejane wali hai"...
[ye hadees shareef sunan nasa'I, jild 1, kitaab as-salaat-ul-eidien may ba-sanad sahih maojood hai]...
> Lehaza! Deen may (yane Allah ke nazdeek) wahi amal/ibadath/niyyath qabil-e-qabool hai, nek hai aur sawaab ka zariya hai jo sirf Allah ki raza (yane iqlaas) ke saath kiya jae aur Qur'an-o-sunnat se saabit ho aur har wo amal/ibadath/niyyath mardood hai, na-qabil-e-qabool hai jisme ye dono maojood na ho yane iqlaas aur mohr-e-nabuwat...
> Sawaal :- Humare paida hone ka maqsad kya hai???
> Jawaab :- ALLAH(swt) farmate hain: "mainey jinnaath aur insaano ko mahez isi liye paida kiya hai ke wo sirf meri I'baadath karien" [surah zariyath: ayath no. 56].
> Iska jawaab ye hai ke : *hamey deen (qur'an aur sahih ahadees) ko waise hi samajhna hoga
jaise ke sahaba(rz) ne samjha, aur us par waise hi amal karna hoga jaise sahaba(rz) ne kiya,,,
jaise ke hamko pata hai ke aaj ummat may ekhtelaaf(differences) deen ko sahi nahi
samajhne ki wajah se hai toh hamko hamari samajh sahi karni hogi aur iske liye HUMKO
YAHI SAHABA(RZ) KA MANHAJ (unki SAMAJH, unka TAREEKA) IKHTIYAAR KARNA HOGA
aur yahi wo paimana ya tarazu hai jo Allah aur uske Rasool(saws) ne hamey diya hai*...

> Ab! Ek aur ehem sawaal SAHABA(rz) HI KYUN??? Unhi ka MANHAJ (yane unhi ka
raasta/samajh/fehem/tareekha) hamarey liye paimana ya tarazu kyun???...
> ISKA MUKHTASARAN JAWAAB (daleel/proof) QUR'AAN AUR AHADEES SHAREEF SE MALOOM
KARTE HAIN...
> » Daleel (proof) no. 1 : Allah(swt) farmate hain:
"agar ' wo ' ' TUM ' jaisa emaan laae, to hidaayath paaye, aur agar mu moda to wo sarih eqtelaaf (khuli gumrahi) may hai...". [surah baqarah: ayath no. 137]... .
Wazahat :- Is ayath may jo lafz "wo" hai usse muraad HUMSAB (yane mai aur aap aur saari ummat) hai, aur jo lafz " TUM " hai usse muraad SAHABA(rz) hain

> » Daleel (proof) no. 2 : Allah(swt) farmate hain:
"aur jo muhaajireen aur ansaar (sahaba) sab eq aur muqaddam (first to embrace islam) hai aur jitne log eqlaas (faith) ke saat un ke pairav (followers) hai 'Allah un sab se raazi hua aur wo sab us-se raazi hue' aur Allah ne un ke liye aise baagh tayyar kar rakhe hainjinke neeche nehrien jaari hongi jin mein wo hamesha rahenge, ye badi kaamyaabi hai". [Surah At-Tawbah: ayath no. 100]...
Wazahat :- Muhaajireen un sahaba ko kaha jata hai jo makkah se hijrath karke madinah munawwara aaye aur ansaar un sahaba ko kaha jata hai jo pehle se hi madinah munawwara may they... is ayath may waaze' (clear) hai ke Allah(swt) sahaba(rz) se aur unke pairav (followers) se raazi hai/hoga aur wahi log jannati hain...

> » Daleel (proof) no. 3 : Allah(swt) farmate hain:
"jo shaqs raah-e-hidaayath ke waazeh (clear) ho jaane ke baad Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ki mukhalifath (nafarmani) kare aur tamaam MOMINO ( yane sahaba) ki raah chohrd kar chaley, hum usey udhar hee mutawajje kar denge (udhar hi laga denge) jidhar wo khud mutawajje hua aur dozakh mein daal denge, wo bahoth hee buri jagah hai"...
[Soorah An-Nisaa: ayath no. 115]...

Wazahat :- Is ayath may bhi MOMINO se muraad koi aur nahi balke sahaba(rz) hi ki jamaat hai, kyun ke jis waqt ya jis daur may ye ayaath nazil hue us waqt momin koi aur nahi sirf sahaba(rz) hi they aur agar hum ghaur kare toh is ayath may kae nukhte (points) hain jise samajhna behad zaroori hai, jaise ke:
> Point 1) . Allah(swt) ne is ayath may waaze'(clear) kardiya ke haq ke waaze' ho jane ke baad [yane aap ke saamne quran ki koi ayath ya aap(s.a.w) ki koi sahih hadees ajane ke baad bhi (jo ke sahaba(rz) ke manhaj/fehem par samjhi ya samjhae gae ho)] agar aap apne tareekh/amal ko chohrd kar haq ki taraf nahi aae (aur bahane banae) toh thikana jahannam hoga...
> Point 2 ). Sahaba(rz) ke raaste ko chohrdna khud nabi-e-kareem(s.a.w) ki mukhalifath karna hai...
> Point 3) . Agar koi shaks sahaba(rz) ke raaste ko chohrdta hai toh zahir hai ke wo deen par amal karne ke liye koi na koi doosra raasta zaroor apnaega jise wo sahih samajhta hoga, toh! Allah (rab-ul- izzath) bhi usey us-hi raastey (tareekhe/mazhab) par lagadenge aur wo usey hi sahih samajhta rahega yahan tak ke wo jahannam may chala jaega...
> » Daleel (proof) no. 4 : (Ahadees ke mafhoom se)
>Mash'hoor riwayatien jo har masjid may padi jati hain jis may aap(s.a.w) ne kuch ishi tarah
farmaya ke:
1) . Yahoodiyaun (jews) ne 71 firqe (sects) banaliye, nasraniyon (chiristans) ne 72 firqe banaliye aur meri ummat 73 firqaun may batjaegi... [ba-sanad Hasan: Abi dawood: kitab al-sunnah: ba riwayath Abu huraira(rz) #4596]...
2) . ...Aap(saws) ne farmaya, Khabardaar! Tumse pehle ahle kitaab 72 firqaun may batgae aur ye ummat 73 firqaun may bat jaegi , 72 jahannam may jaenge aur 1 jannat may... (yane saare ke saare jahannam may daaldiye jaenge, siwae ek (1) ke)... [ba-sanad Hasan: (Abi dawood: kitab al-sunnah: ba riwayath Abu ‘Amir al-Hawdhani(rz) #4597), (musnad ahmad(4/102))]...
3) . (ek doosri riwayath may) Jab aap(saws) se us ek jamaat ke barey may puchagaya (ke wo kaunsi jamaat hogi jo jahannum may nahi daali jaegi aur jannath may daali jaegi) toh aap(saws) ne farmaya ke: wo jamaat, wahi hogi jo us-hi deen par khayam aur dayam rahegi jisparaaj MAI aur mere SAHABA hai... [ba-sanad Hasan: (Tirmizi(5/62)), (Hakim(l/128))]...
4) . (is-hi tarah ek aur riwayath may aap(saws) ne naseehat karte hue kuch is-hi tarha farmaya ke) ...mere baad aaney wale log kaafi zyada ekhtelaaf dekhenge, toh bas us waqt tum meri sunnat aur mere hidayath yaafta khulafa-e-rashideen (sahaba) ki sunnat ko mazbooti se thaam lena"... [ba-sanad sahih: (abi-dawood: kitab al-sunnah: ba riwayath Irbad ibn Sariyah(rz) #4607), (Tirmizi #2676)]...

Wazahat :- In ahadees ko samajhna behad zaroori hai: sabse pehle, aap(saws) ne ye kaha ke 73 firqe(sects) honge iska matlab ye nahi ke 73 firqe banao magar yaad rakhiye nabi-e rehmath(saws) ki zubaan-e-mubarak se siwae haq aur sach ke kuch nahi nikalta, toh agar aap ne kaha ke 73 firqe banege toh wo toh bankar hi rahenge aur un 73 firqaon may se sirf ek hi jannath may jaega, yaad rakhien 'SIRF EK (1)'... aur (qurbaan jaen aap(saws) ki taalimaath par ke aap ne hamey yoonhi nahi chohrd diya balke aap(s.a.w) ne hamey wo jannati jamaat ko pehchchanney aur us may shamil hone ka paimana ya tarazu dediya, jaisa ke) aap(s.a.w) ne ye bhi saaf taor par farma diya ke wo jamaat wahi hogi jo us-hi deen par hogi jis par nabi(s.a.w) aur sahaba(rz) they [yane us jamaat ke imam koi aur nahi balke khud aap(saw) honge aur wo jamaat sahaba(rz) ke tareekhe/manhaj/fehem ko hamesha thaamey rahegi yane wo jamaat apna har amal aur har ibadath nabi(saws) ki taalimaath aur sahaba(rz) ke fehem ke mutabiq hi karegi]...

> LEHAZA! DEEN KO SAMAJHNE KE LIYE SAHABA(RZ) KE MANHAJ KO CHOHRDNE SE BADI
GHALATI YA BEWAQUFI KOI AUR NAHI HOSAKTI KYUN KE UNKE EMAAN AUR MANHAJ KE HAQ AUR SAHIH HONE KI GAWAHI KHUD ALLAH (rabb-ul-izzath) NE AUR NABI-E-KAREEM (saws) NE Dl HAI...
> Hamey sahaba(rz) ke tareekhe/manhaj/fehem par chalna chahiye aur zaroori hai kyun ke:
"Bila-shuba, be-shak! wo sirf sahaba(rz) hi ki jamaat hai"
unka apna ek ala mukhaam- o-martaba hota hai aur unki izzat-o-ehteraam karna aur unki baat maanna zaroori hota hai,
jaisa ke ALLAH(swt) ne farmya:
"aye imaan waalo farma-bardaari karo Allah ta'ala ki aur farma-bardaari karo rasool (sallallahu alaihi wasallam) ki aur tum mein se ' eqtiyaar rakhne waalon ' ki, phir agar kisi cheez may eqtelaaf karo to usey lautaao, Allah ta'ala ki taraf aur rasool(saws) ki taraf agar tumhe Allah ta'ala par aur qayaamath ke din par imaan hai, ye bahuth behtar hai aur ba- etebaar anjaam ke bahuth accha hai"... [surah nisa: ayath no. 59]...
Is ayath may ALLAH(swt) ne saaf farmadiya ke hamey har haal may ALLAH aur uske
rasool(saw) ki ita’at karni hogi aur saat may EQTIYAAR RAKHNE WAALon ki (jisme
haakim-e-waqt, khalifa, imaam-e-waqt, auliya Allah, aalim-e-deen, ulama-e-haqq jo tumhe sirf Allah aur Rasool s.a.w. ki ita’at karne ka hukm dein na ke khudki aur na kisi ek sakhsiyat parasti ki ya kisi ek maktabe fikr ki dawat de jo ke islam ka firqa ho yani (72 jahannam may jaenge wale firqa me se na ho )

Allah(rabb-ul-izzath) ne quran may kae jagah bayan kiya: jaisa ke
"In logon ney Allah ko chohrd kar apne aalimon aur darweshon ko apna rabb
banaliya hai..." [surah Tawbah: ayath no. 31]

(Is Ayat ko sun kar)
Adiyy Ibn Hatim(rz) ne Nabi-e-kareem(saws) se kaha:-“Yahood-o-Nasara ne to apne UlaMa ki kabhi IBAADAT NAHI ki, Phir ye kyun kaha gaya ke unhone apne UlaMa ko apna RABB banaliya??”... (iske jawaab may)
Nabi-e-kareem(saws) ne farmaya: ‘Unke UlaMa ne’, jis cheez ko Halaal qaraar diya, usko unhone Halaal, Aur jis cheez ko HaraaM kar diya, usko unhone HaraaM hi saMjha, Yehi inki Ibaadat karna hai”... [TirMizi 3095]...
Wajahat: Yani Jo Allah ke Nazdeek ‘”Haram amal hai use unke ulema ne Halal kaha” aur jo “Halal hai use Haram kaha” aur unhone use aankh band karke maan liya, ke ye galat to keh nahi sakte…….
ALHAMDULILLAH AHADEES AAJ BHI US-HI QADAR MEHFOOZ HAI JIS QADAR SAHABA(RZ), TABAEEN AUR TAB-E-TABAEEN KE DAUR MAY THI AUR JIS JIS MUHADDIS NE APNI KISI HADEES KI KITAAB MAY JO BHI HADEES DARJ (record) KI HAI UNHONE YA UNKE BAAD AANEY WALE MUHADDISON NE US HADEES KE SAATH SAATH US KI SANAD (chain of narration/narrators, yane Nabi(saws) se suni hui hadees kis kis shaqs se hote hue hamtak pahunchi, un tamaam logon ka silsila) aur uski HAISIYATH (Grade, yane SAHIH, HASSAN, ZAEEF...) AUR USKA BAYAAN (yane EXPLANATION) JO SAHABA(RZ) MAY THA WO BHI DARJ(record) KARDIYA HAI aur aaj ke aksar gumrah aalim yahi chupa kar ummat ko gumrah kar rahe hain, bewaqoof bana rahe hain... hoshiyaar rahien... aur baaz masoom logon ko ye kehkar bhi gumrah kiya jata hai... ke: "ye dekho ye log hadees ko bhi zaef kehrahe hain, kya Allah ke nabi(saw) bhi zaef baat karte they?
nauzubillah"...
Toh nabi(saw) ki baat ko zaeef kehne ka toh sawaal hi nahi hota aur YAAD RAKHIYE KE ALLAH KE NABI(SAW) NE EK HADEES MAY FARMAYA KE:
"JO SHAQS MUJH PAR JHOOT BAANDHE (yane wo baat aap(saw) ke naam se kahe jo aap(saw) ne nahi kahi ho) TOH WO APNATHIKANA JAHANNAM MAY BANALE" [ye hadees sahih al-bukhari: kitab al-ilm may maojood hai]...
> MAGAR! Afsoos... AANKH BAND KARKE KISI KI BHI KOI BHI BAAT BINA DALEEL (proof) KE APNE AALIMO KI BAAT MAAN LETEIN HEIN
NAHI! HARGIZ NAHI... (aise logon ko toh Allah se darna chahiye jo: ya toh deen ko nihayath hi haqeer samajhte hain, ya deen ko apni jaagir samajhte hain)...
> Lehaza! Ham isi-liye aisi saari hadeeson ko nahi maantey jin may koi bhi qism ka shak (doubt/confusion) ho [yane hadees ki us baat ko un sare qaedon/paimanon/usoolon (rules/criteria) par jaanchte (parakhte/examine karte) hain jo muhaddiseen/usooliyyeen ne banae hain aur agar wo hadees un qaedon/paimanon/usoolon par puri nahi utarti ho toh usey nahi maante] kyun ke kaafi mumkin hai ke wo baat hamare Aqa(saw) ne kahi hi na ho,
aur is-hi iiye hamare nazdeek daleel sirf paanch (5) cheezien hi hain jo ye hai:
1) . "KITAB-ULLAH" : [Allah ki kitab yane Qur’an majeed],
2 ) . "AHADEES-E-RASOOL" (SAW): [yane Nabi(saw) ke qaol (yane aap ke farmaan aur ehkaam), aap ki sunnatien (yane aap ke a'maal) aur aap ki taqreer (yane aap ka kisi amal ko dekhne par bhi khamoshi  iqtiyaar karna, yane mana nahi karna) jo sirf Sahih aur Hassan sanad se sabit hote hain (yane Sahih aur Hassan ahadees may miltey hain)],
Par baad ken aye firqon ka kehna hai "ayath toh theek hai hadees toh theek hai magar hamare mazhab may nahi hai hamare imam sahaab aisa nahi kehte ya iske qael nahi hai": kyun ke
Allah(swt) [surah ahzaab: ayath no. 36]: may farmatey hain: "aur (dekho) kisi momin mardh aur aurath ko Allah aur us ke rasool(salla!!ahu alaihi wasaliam) ke faisle ke baadh apne kisi kaam ka koyi eqtiyaar baaqi nahi rehta (yaad rakho) Allah ta'ala aur us ke rasool ki jo bhi na farmaani karega, wo sarih gumraahi mein padega"
... is-hi tarah [surah noor: ayath no. 51]: "Emaan walon ka qaol to ye hai ke jab inhe is Iiye bulaya jata hai ke Allah aur uske Rasool inmey faisle kardien toh wo kehte hain Humney Suna Aur Maan Liya, yahi log kamyab hone wale hain"...
is-hi tarah [surah hashr: ayath no. 7]: "...aur tumhe jo kuch rasool dien lelo aur jis se roke ruk jaao, aur Allah ta'ala se darte raha karo, yaqinan Allah ta'ala saqth azaab wala hai"]...
3 ) . Sahaba(rz) ke amaal, unke aqwaal aur sahaba(rz) ka ijtehaad (jo ke hamare nazdeek doosron ke ijtehaad se muqaddam hai) ba-shart hai ke ye sab bhi sahih ya Hassan sanad se sabit ho aur nass se na takrate hon,
4 ) . I'jma bhi hamare nazdeek daleel hai ba-shart hai ke wo I'jma bhi haq par ho aur
haqeeqath may sabit ho aur usmay kisi bhi mujtahid ka ekhtelaaf naho,
[WAZAHAT :- I'jma sirf ahle-ilm yane ulama-e-haq ka hi qabool hoga aur ulama-e-suu yane
batil ulama ka nahi hoga jo nass ke qilaaf dawath dete hain]
5 ) . Qiyaas-e-sahih bhi hamare nazdeek daleel hai [batil aur beja qiyaas hamare nazdeek daleel nahi hai yane ham wo qiyaas nahi maante jo nass (asal) se takrata ho aur uske qilaaf ho]
[WAZAHAT :- insaan ko apni aqal ka bhi istemaal karna chahiye, Lekin! Aqal ko istemaal karne ke bhi kuch hudood (limits) hain, jisko paar karne ki wajah se bhi insaan gumrah hojata hai, lehaza hamey chahiye ke ham qur'an-o-sunnath ko hamesha apni aqal ke aagey rakhien (yane
apni aqal ko qur'an-o-sunnath ke taabe' rakhe), jo sirf manhaj-e-salaf ko apnane se hi mumkin hai]...
(wallahu a'alam bissawaab).

Sirf zyada logon ki ta'daad ko dekhkar us-par amal karliya jae aur usey haq samjha jae???
Aur ek ehem baat batata chalun ke: jahannam aksariyath (yane majority) se hi bhari jaegi aur jannat ke mustahiq bahot hi thode log honge...
aur is-hi tarah jo log ye kehte hain ke hamare baap daad jo karte aarahe hain kya wo ghalath hai ya ghalath they, toh unke liye ek nasihath hai, ek guzarish hai ke wo qur'an ko samajh kar pardhien kyun ke iska jawaab qur'an ne dediya hai... jaisa ke:

Allah (rab-ul-izzath) farmate hain:
"aur jab unse kaha jata hai ke uski pairavi karo jo Allah ne nazil kiya hai (yane qur'an aur ahadees) toh wo kehte hain ki ham toh uski pairavi karenge jis par hamne apne baap dada ko paya, chahe unke baap dada kuch bhi nahi samajhte ho aur na hi seedhe raastey par ho"... [surah baqarah: ayath no. 170].

Aur is-hi tarah ek doosri ayath may farmaya: "aur kahenge aye hamaare rab! hamney apne sardaaron aur apne badon ki maani, jinhone hamein raahe raasth se (seedhey raastey se) bhatka diya (gumrah kardiya)"..[surah ahzaab: ayath no. 67]...
Maslan:  Unke baap dada unhe Allah ke ilawa kisi aur sey madad ko pukarne ko kehte wo aisa hi karte aur unke kadmon me gir jaate, unka daman pakad lete, Agar Allah ke ilawa sifa wa barkat ke liye Dhaga,Nimboo, Mirchi, Loha, Kala nishan ( tokte ) wagaira karne ko kehte ya Allah ke siwa kisi aur par ( Gair Allah ) par nafa nuksan ke liye tawwaqqul rakhne ko kehte wo aisa hi karte…….

> Lehaza! Hamara ye emaan-o-amal hai ke jab bhi hamko quran ki koi ayath ya aqa(saws) ki
koi sahih ya hassan hadees-e-shareef milti hai (jo sahaba(rz) ke manhaj par samjhigae ho)
toh ham uske aage apni gardan jhuka dete hain! (Alhamdulilah!)...
> Aur yaad rakhien ke deen ke har muamle may sirf dalael (proofs) (quran aur sahih ahadees) ki raoshni may haq aur batil (sahih aur ghalath) ka farq kiya jaega aur haq ko qabool karke usparamal kiya jaega aur batil ko radd karke ussey bacha jaega...

> Al-gharz! agar aap ko ye maozu pura samajh agaya ho aur aap ke tareekhe, samajh, fehem aur manhaj ki sahih islah hogae ho toh in-sha-Allah! Aap ko ab deen ke har mas'ale ko sahih se samajhne may badi asani hogi aur is duniya-o-aakhirath ke sab se bade aur ehem maozu, jo hamare paida hone ka maqsad bhi hai, yane "AQEEDA-E-TAWHEED" ko samajhne may badi aasaani hogi (in-sha-Allah!)...

> JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERA :::
> itne sabr aur etmenaan se is mazmoon (article) ko padne/sunne ka bahot bahot shukriya...
Umeed hai ke ye aap ke liye faedemand saabit hua ho...
> ALLAH! HUM SAB KO DEEN (Qur'an aur sahih ahadees) KI SAHI SAMAJH ATA FARMA KAR
HIDAYATH DE AUR SIRAT-E-MUSTAQEEN NASEEB FARMAE, hamari saari zindagi Allah aur
uske rasool (saws) ki I'taat wa farma-bardari sahaba(rz) ki tarah unke
raastey/manhaj/tareeqe/fehem par karte hue guzarjae... AaMEENya Rab-ul-Aalameen...
> Guzarish :- Is paighaam ko aam karien...

***YAAD RAKHIEN***
> Wo zindagi kisi kaam ki nahi jo uske asal maqsad ke liye istemaal naho...
> ZINDAGI KA MAQSAD = QALIS ALLAH (WAH DAHU LA SHAREEK) HI KI I'BADATH KARNA (yane Tawheed hai). [surah zariyath: #56]...
> I’BADATH KA TAREEKHA = DEEN [qur’an aur sahih ahadees jo sahaba(rz) ke manhaj (samajh/tareekhe) par samjhien gae hon] ka sahih ilm hasil karna...
> ilm hasil karne ke 3 usool =
1. ALLAH(swt) ko pehchaanna,
2.Nabi-e-kareem(saws) ko jaanna,
3. zaruri deen seekh-kar us par amal karna,
 aur doosron tak pahunchane ki koshish karna...
> aur in-hi 3 usool par mabni (based) qabar may 3 sawaal honge: aur
qabar, aakhirath ki sabse pehli manzil hai, jo ismay kaamiyaab hogaya
uske liye aagey ki manzilien aasaan hojaengi (in-sha-Allah)... 

Comments

Post a Comment